Bewafai
Shayari
PAGE=5
Dil Todne Wale Kya Jaane
By : Gagan (Views : 327)
Dard-e-Dil, Dil Todne Wale Kya Jaane
Mohabbat Ki Riwaze Yeh Duniya Wale
Kya Jaane
Hoti Hai Kitni Takliff Kabr Mein
Yeh Upar Se Phool Rakhne Wale
Kya Jaane
ISS JAHAN MEIN
By : Gagan (Views : 352)
kuch mil gaya is jahan mein
kuch kho gaya is jahan mein
apne huye
paraye yun
ke chhod gaye humay is jahan mein
tumse thi na hume umeed
ye
ke tum bhi shamil ho jaaoge us jahan mein
itni chahat, pyaar, mohabbat
huyi hume
ke sochte rahe tumhe is jahan mein
wafa karne ka sila ye
mila
ke pa rahe hain saza is jahan mein
kyon bhool jate ho tum ke
hum
bhi majod hain is jahan mein
har pal, har lamha aati rahe yaad meri
ke
bhool paoge na tum hume is jahan mein
ro ro kar kati raatein jo
tujh ko
bhi neend na mile is jahan mein
ankhon mein aaye anso
Bewafai
Shayari
PAGE=5
Dil Todne Wale Kya Jaane
By : Gagan (Views : 327)
Dard-e-Dil, Dil Todne Wale Kya Jaane
Mohabbat Ki Riwaze Yeh Duniya Wale
Kya Jaane
Hoti Hai Kitni Takliff Kabr Mein
Yeh Upar Se Phool Rakhne Wale
Kya Jaane
ISS JAHAN MEIN
By : Gagan (Views : 352)
kuch mil gaya is jahan mein
kuch kho gaya is jahan mein
apne huye
paraye yun
ke chhod gaye humay is jahan mein
tumse thi na hume umeed
ye
ke tum bhi shamil ho jaaoge us jahan mein
itni chahat, pyaar, mohabbat
huyi hume
ke sochte rahe tumhe is jahan mein
wafa karne ka sila ye
mila
ke pa rahe hain saza is jahan mein
kyon bhool jate ho tum ke
hum
bhi majod hain is jahan mein
har pal, har lamha aati rahe yaad meri
ke
bhool paoge na tum hume is jahan mein
ro ro kar kati raatein jo
tujh ko
bhi neend na mile is jahan mein
ankhon mein aaye ansoo jo
to nam ho jaye
ankhein teri is jahan mein.
Usne Kaha, Maine Kaha
By : Gagan (Views : 347)
USNE KAHA TUM MEIN PEHLI SI BAAT NAHI
MAINE KAHA!
ZINDAGI MEIN TERA SATH NAHI
USNE KAHA
AB BHI KISI KI ANKHON MAIN DOOB JATEY HO??
MAINE KAHA
AB KISI ANKH MEIN WOH GEHRAYEE NAHI!
USNE KAHA
KYUN ITNA TOOT KAR CHAHA MUJHE
MAIN NAY KAHA
INSAAN HUN PATHER TO NAHI
USNE KAHA
KYA MAIN BEWAFA HOUN?
MAINE KAHA
MUJHE AB WAFA KI TALASH HI NAHI
USNE KAHA
BHOOL JA MUJH KO
MAINE KAHA
TUM HAQEQAT HO KOI KHAWAB TO NAHI
Tera Andaaz Yaad Aaya Hai
By : Gagan (Views : 293)
Dil ne jab bhi fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai
Yeh bhi khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein joh khoya paaya hai
Tum numaaish liye ho daagon kii
Humne zakhmon ko bhi chuppaayaa hai
Koi marta nahin kisi ke liye
Humne duniya ko aazmaayaa hai
Waqt-E-Hizraan ya vasl ho Ashique
Humne dono mein tujhko paaya hai
Kyun Kartey Ho
By : Gagan (Views : 302)
Rooth kay bhi tum hamein yaad kyun kartay ho
Zamanay say juda hokar
hamein pyaar kyun kartey ho
Hum toh tere bina jeena seekh gayein hain
Phir hamaray naam ko apne saath
mansoob kyun kartay ho
Hamaray dil kay zakham toh abhi tak taaza hain
Phir hamein yaad karkay
ankhon ko ashk baar kyun kartay ho
Jeevan ke Ek Ek moor pay tum yunhi
Mujhe apna bana kar logon ke taaney
kyun bardaasht kartay ho
Mere dil ke darwaazey kab say teeray liye khulay hain
Tum saamnay ka
bajayey hamesha peechay se waar kyun kartay ho
Meri shayeri faqt teray liye hain
Phir dil kay teeron se mera hi shikar
kyun kartay ho
Lehron Pe Chalna
By : Gagan (Views : 371)
In lehron pe chalna sikhaya hai tumne
Pyaar mein apno pe jalna sikhaya hai
tumne
Hum toh daaman bacha lete magar
Duniya walo ke saamne mujhe
Ruswa karaya hai tumne
Pyaar karna nahi aata tha mujhe
Pyaar kerna
sikhaya hai tumne
Bhool na paaunga saari zindagi ab jise
Aisa gum tohfe
mein diya hai tumne
Bada mashhoor tha hansne hasaane ko
Hothon se tabassum
churaya hai tumne
Tujh ko kaise DUA doon ke khush tu rahe
Meri duaon ko
baddua banaya hai tumne
Main toh roshan bhi na ho saka tha abhi
Chadhte
suraj ko kaise dubaya hai tumne
Intezaar To Kare
By : Gagan (Views : 316)
Intezaar to kare, ke jab woh aaye bhi
Bhool jaaye hum, chhode jo mere
saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhenge apne aur
paraaye bhi
Woh gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaado mein aake
baar-baar aazmaaye bhi
Kehte hai duniya ko, chhod denge hume
Mud ke dekhe
baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye
aag, khud hi bujhjaaye bhi
Shikwa bhi to kya kare hum kisi se
Khoya ek
humsafar to laakho rehnuma paaye bhi
Toot Kar Chaha Tha Jise
By : Gagan (Views : 320)
Toot kar chaha tha jise wohi dhoka de jayega
Bina kashti ke musafir kaise
sahil tak aayega
Sukhe patton ki tarah yun bikhar jayegi zindagi
apni
Socha na tha yeh waqt hume is mod par bhi layega
Maine chand ki
tamana mein, ginwa diye taare bhi
is oonchi udan mein kahan maloom tha ke
kafila hi chhut jayega
apni hi lagai aag mein apna hi wajood jal
jayega
kis ko khabar thi yeh waqt bhi hum par ayega
jub registan ki ret hi
apna mukadar thi to
kyon socha humne ki hamein woh mil jayega
apne hi
banaye jaal mein shikari khud hi qaid ho jayega
koi yon bhi bhala apna
mukadar likhwayega
zindagi tapti dhoop ke tale yun hi chali ja rahi
hai
kya ab koi pani pilane wala nahi ayega
Nikal Gaye
By : Gagan(Views : 298)
aankhon mein basne wale aansu bankar nikal gaye
dil mein rehne wale dil
jalakar nikal gaye
jis raahon per mera kabhi intzaar karte the
aaj usi raah mein chehra
chhupakar nikal gaye
jinse mehakti thi kabhi mere khwabon ki galiyan
wohi mere sapnon ko aag
lagakar nikal gaye
jis pyar ki khushboo basi thi mere aagan mein
woh bewafa phoolon ko
murjhakar nikal gaye
kis tarah ab guzregi yeh jeevan ki sawari
jab mujhe maut ki galiyan dikha
kar nikal gaye
jab bayan ki apne jeevan ki kahani
toh log wah !! wah !! suna kar nikal
gaye.
Dil Ki Tadap Ko
By : Gagan (Views : 400)
Dil ki tadap ko kya jaan saka hai koi,
Meri kasak ko kya pehchaan saka
koi,
Tumne to bas kehe diya bhool jaane ko,
Pehle pyar ko kab bhula saka
hai koi.
Isi pyar ne to kitnon ko ghayal kiya,
Isi ishq ne mujhe bhi pagal
kiya,
Tere ishq mein padkar loot gaye hum to,
Is ishq se kya bach paya hai
koi.
Halaat ka mara yeh ishq,kabhi parwaan na chadh paya,
Dil mein baskar tumne
is dil ko bahut tadpaya,
Dee do pal ki khushi, har pal ka gum,
Tumne is
dil ko dhadakna kyon sikhaya.
Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay
By : Gagan (Views
: 239)
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
Ke ashq rokna tum se mohaal hona
hay
Har ek lab pe hay meri wafa ke afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawab hona
hay
Tumhain khabar hi nahin tum to loot jaogi
Tumharay hijar main ek lamha
saal hona hay
Humari rooh pey jaab bhi azaab utrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal
hona hay
Kabhi to royegi woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal
hona hay
Milaygi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh
kamal hona hay
Har ek shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh
misaal hona hay
Zamana jis ke kham-o-peech main ulajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona
hay
Yaqeen hay mujhe woh loot ayegi
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay.
Bewafai Ka Ilzaam
By : Gagan(Views : 507)
raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai
dard ko lafzon me dhaal kar
har nagma bana lete hai
ashq toh aakhon se yunhi nahi behte hai
hawa ke anchal se unko dil mein
utar lete hai
tanhaai ki roshni hai itni mash-hoor
ke hum saare diye bhuja lete hai
ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat be-baat muskura
lete hai
poochhta hai jab koi wajah iss dard ki
toh reit mein tera naam likh likh
ke mita lete hai
ki jisne bewafai woh toh ho chuke kisi aur ke
aur bewafai ka ilzaam hum
par laga lete hai.
Uski Yaad
By : Gagan(Views : 491)
jo dekhi berukhi unki toh dil se yeh sada aayi
iss mehfil se achchi hai
kisi sehra ki tanhaai
bhari mehfil mein woh hamara haath na thaam sake
aur karte hai daave ke
tum ho mere dil mein samayi
na ban sakte hai hum bewafa na ho sakte unse khafa
par mere pyaar ka silaa
usne diya banke harjaayi
har nuksaan ka hisaab kitaab hota hai bazaar mein
jo tode hai usne mere
sapne uski kya hogi bharpaayi
likhte likhte jo qalam thaki na kabhi
aaj kyun pheeki pad rahi hai uski
likhayi
jitna chahte hai usko hum bhulana
kyun na chahte hue bhi uski yaad chali
aayi.
Tum Hum Per Bewaafai
By : Gagan (Views : 376)
tum hum per bawafai ka ilzam na dey pao gay
jaan sy zaida kya fermaish kar
paogay
pyaar koi khial nahi jo
tum asaani sy khail jao
hume tuhfe ki
surat may
judai say zaida kya dey pao gay
Ruthe Hain Woh
By : Gagan (Views : 294)
ruthe hain woh humse bina baat ke
ke ab intezaar karna naseeb ho
gaya
kaise manaein use jo hamara ho kar bhi
kisi or ka ho gaya.
Koi Baat Nahin
By : Gagan (Views : 607)
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to
koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi
baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya
hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat
nahi
Kiskii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat
nahi
Chaar Din
By : Gagan(Views : 577)
uski mujh par neegaah rahi chaar din
chahat ki chah rahi chaar din
main aaina dekh ke sharmati rahi
woh bhi karwata raha shringaar chaar
din gulabi aur chandni raatein rahi
duniya hasin lagti rahi chaar din
dil mein dard ki tarah bas gaya woh
main uski bimaar rahi chaar din
Ek Nazar
By : Gagan (Views : 317)
Kyun Rooth gayi Kismat mujhse
Kyun Khafa ho gaye saathi humse
Kaash mil jate raah chalte kisi din
Aur dekh lete ek nazar pyar se
hume
Phir Gam naa hota marne ka bhi hume
Bhool jate tumhari di hui woh sari
taklife
1 Pyar Ka Nagma Hai
By : Kumar (Views : 336)
1 Dard Hai Saare Jahan
or Koi Nahi Apna Yahan
Kaise Jiye Ham
Yahan
Pyar Bikta Hai Jahan
De Kar Dard Karte Hai Duwa
Sada Khush Raho
Tum Wahan
Bhool Jayo Ye Jahan
Or Tum Chale Jayo Wahan
Dilwale Nahi
Diljale Rehte Hai Jahan
Mohabbat Ki Akhiri Rasm
By : Gagan(Views : 437)
phir dil mein ek nayi aag jala di usne
dehakte zakhmon ko khoob hawa di
usne
mohabbat mein woh bhi hamari pagal hain
har taraf yeh jhooti afwaah
udaa di usne
jhoothe khwaabon ki kahani bana di usne
deta raha woh fareb mohabbat ke naam par
peete rahe hum zehar wafaaon ke
jaam bhar
khilti rahi muskurahat uske labon par har baar
wafa se chehre pe
bewafai saja di usne
mohabbat ki aankh sharm se jhuka di usne
dil se nikli ek aah jo zuban tak aayi nahi
nabz hi khud jab dhadkan ko
soon payi nahi
tohmaton ke takiye ko saja diya hothon par
begunaah laash
chattanon mein daba di usne
mohabbat ki yeh akhiri rasm bhi nibha di
usne.
Adaa Unki Aur Diwane Hum
By : Gagan (Views : 340)
Adaa Unki aur diwane hum bane,
Wafa woh na kar sake aur bewafa hum
bane,
Yun to hazaro the bheed mein, Shukria hai unka,
Jo unki nazron ke
nishane hum bane.
Nazar Lag Gai Pyar Ko
By : Gagan (Views : 290)
Hua Kya Kasoor
Wajah kya thi tere jane ki
Dhadkan chal rahi hai
kisi ko umeed hai aaj bhi tere wapas aane ki
Aakhri saans tak koshish karunga tujhe manane ki
Saans tut jaye, Shayad wo
hi wajah ho tere wapas aane ki
Shayad Nazar lag gai mere Pyar ko Zamane ki
Tu Jaega Is Kadar Chhod Ke
By : Gagan (Views : 687)
Tu jaega is kadar chhod ke mujhe,
is baat ki khabar thi na mujhe,
agar
aitbar tha to tha tujhpar aur apne pyar par,
ki tu aaega ek din lene
mujhe,
par hua na aisa kuchh bhi,
na aaya tu aur na aai teri koi
khabar.
Royi Thi Teri Judai
By : Gagan (Views : 768)
Royi thi teri judai me bahut,
lekin tujhe na tha iska koi gam,
aansu
bhi mere the aur dard bhi mera,
tujhe na thi iski koi samajh,
agar samajh
sake to samajhna mere pyar ki qimat,
nahi to samajhna mere aansuon ki
ahmiyat.
Tujhe Bhoolna Thi Meri Majburi
By : Gagan (Views :
518)
Tujhe bhoolna thi meri majburi,
isme teri thi na koi kamjori,
par tu
bhoola kuch is kadar mujhe,
jaise intezaar tha is pal ka tujhe,
kya samjhu
teri is bekhudi ko,
tu tha bewafaa ya mai kar na pai wafa.